Kumbhalgarh Ke
Aanchal Mein,
Ek Balak Jab Raat Ko Ro
Utha,
Subah Suraj Muskaayi
Thi,
Mewar ne Khushiyaan
Manayi Thi.
Jab Jab Uske Teer Chale,
Talwar Kisise
Takraye,
Shatru Ke Wrid Kaape,
Uske Naam Se Aise
Daare.
Bheel O Ke Woh Mitra
Kika,
Mewar Ka Dharti Putra
Tha,
Veer Pratap Janam Se
Hi,
Mewar Ka Rakhwala
Tha.
Bhai Shakti Jab Gaye
Chodh
Sinhasan Ka Mol Jana.
Bhai Bhai Se Laree
Aise
Moh Hai Takt Ka Maana.
Ajab Amar Hai Unki
Kahani,
Baccho Baccho Ko Hai
Sunani,
Jaivanta Ke Guroor Se
Paale,
Kshatriya Woh Jo Kabhi
Na Taale.
Chittor Ke Jauhar Ke
Ashko Se,
Jiska Rajya Baitha
Tha,
Uss Pratap ne Kabhi
Bhi,
Dusra Jauhar Na Hone
Di.
Haldighati Ke Mitti
Ko
Range Rakt Talai Tha.
Man Singh Pe Vaar
Kiye Woh,
Chetak Se Toh Sher
Bhi Darta Tha.
Dukh Bhare Jeevan
Mein Woh,
Na Jaane Kitne Apne
Khoye,
Ajab Chetak Ke Jaane
Se,
Rajya Se Bhi Vimukh
Huye.
Par Jhuka Nahi Sarr
Rajput Ka.
Larte Rahe Woh Mughalo
Se.
Anth Mein Akbar Ne
Maana,
Nahi Jhukega Pratap
Talwaro Se.
Hari Ghaas Ki Roti
Khayi,
Malmal Mein Kabhi Na
Soye,
Ghar Unka Jungle Hi
Bana,
Mahal Ka Sukh Kabhi
Na Bhoge.
Bharat Ke Woh Pehla
Putt,
Jo Swabhimaan Ka
Prateek Bana.
Bharat Ka Woh Pehla
Rakt,
Jo Swadeenta Ke Liye
Baha.
Chavand, Chittor,
Kumbhalgarh,
Roye Thee Unke Yaad
Mein.
Maano Aakhein Taras
Gaye,
Unke Jhalak Ki Chah
Mein.
Jab Sara Bharat Karta
Naman Aise Shurveero Ko,
Maat Bhulna Tum Unn
Maata O Aur Stree O Ko.
Yodha Ke Mann Mein
Jisne
Bhari Prem Ki Daali
Thi,
Sehmi Si Par
Swabhimani,
Ek Ajab Deh Mann Mein Basti Thi.
Jab Jab Unke Chott
Bhare,
Par Zakhm Dil Pe
Rehti Thi,
Tabh Tabh Ek Maata Sadev,
Lep Se Umeed Bharti
Thi.
Jab Yudho Ke Hunkaar
Uthe, Eklingji Ke Naam Se.
Tabh Tabh Streeyaan
Unke Liye Jeevan Ki Mannat Mangti Thi.
Veer Woh Jo Jhuke
Nahi,
Par Ek Aas Jo Mita
Nahi.
Chittor Raha Mughalo
Ka,
Par Woh Antim Saas
Tak Ruke Nahi.
Jhalla, Punja,
Tanwaro Ne,
Di Ahooti Prano Ki.
Sab Ke Liye Larte
Rahe Woh,
Sarr Na Jhuke Rajput
Aan Ki.
Jab Woh Gaye Dharti
Se,
Maano Dharti Bhi Roya
Tha.
Akbar Kya Aasu
Bahaye,
Mewar Ka Kann Kann
Roya Tha.
Aj Bhi Hum Bhule
Nahi,
Aapki Unn Balidaano
Ko,
Aj Bhi Akhiyaan
Dhundti Hai,
Aap Ke Jaise
Swabhimaaniyon Ko.
Bharat Karta Naman Ek
Shurveer Ko.
Mewar Karta Naman
Apne Veer Putra Ko.
Sab Aj Bhi Karte
Naman Apke Adarsho Ko.
Main Karti Hoon Naman Apke Diye Huye Har Ek Ehsaas Ko.
As Written By Suranya
Sengupta,
On 8th May,
2017.
Comments
Post a Comment