Okay, my first try at poetry, mind you its err... how to say horrible in a better language? Ahh well, I will say with my bad Hindi and worse poetic sense, Bhavnao ko samjho !!! Here goes.
Paintings by Hemakshi Khasgiwala |
Veerangana Gatha
Ao Sunaaye Tumko
Gathaa,
Gaatha kuch Veero ki,
Gatha ek swaraj ki,
Sapna ek swadhinta ki.
Gatha Patniyoke Prem o
ki, Gaatha Maa o ke Biswaso ki.
Ao sunaye tumko
gatha,
Gatha ek Mewar ki.
Gatha ek Maratha Ki.
Gatha ek Bharat ki.
Yeh katha hai
Shurveero ki,
Maharana O ki, Maharaja O ki.
Yeh gatha hai
Chatrapatiyo ki.
Gatha unke yudho ki,
adarsho ki, sammano ki.
Kahani Unn Maharaniyo
ka, Rajkumariyo ka, Veerangana o ka.
Katha unke
atmasammano ka. Premo Ka. Bhaktiyo ka.
Gatha ek Meera ka, ek
Padmini ka, Ek Karnavati ka.
Suno katha unn Maa o
ka. Unke Parvarish Ka. Balidaano ka.
Yeh Gatha ek Jijabai
ka, ek Panna Dhai ka, ek Jaivanta Bai ka.
Suno katha unn
Patniyo ka. Unke pratikska ka. Tapasya ka.
Unke vachan o aur
satitwa ka.
Yeh Gatha hai ek
Ajabdeh ka, ek Saibai ka, ek Jiwa ka.
Suno katha unn
deviyon ka, Unn Maa o ke ashisho ka.
Suno Katha ek Veer
ki, Dharti k ek putra ki, Eklinji ki Avatar ki,
Suno Gatha ek
Swadhinta premi Pratap ki.
Suno Katha uss Suput ki,
Bhavani Maata ke uss Rakshak ki,
Swaraj ke swapno ki.
Suno Gatha ek Shivaji
ki.
Yeh Desh bana hai
unke lahu se, Jauhar o ki chingaario se.
Yeh Desh bana hai
unke adarsho se, Kabhi na jhukne wali unn sheesh o se.
Itihas gawa hai unn
panno ka, Jaha kho gaye log kayi.
Ajabdeh ka prem, Sai
ka vishwas,
Reh gaya Ankaheen.
Kahani unn veer o ki
sab hai jaane, Par jaane nahi unn prerna o ko.
Kaha Itihas ne yaad
rakha unn maata o ki Balidaano ko.
Kaha unn patni o ka
prem kho gaya gusre kal mein.
Koi na jaane kitne
aasu bahe thee unke yaad mein.
Kaun jaana kyun dukhi
thee Pratap ke antim din,
Kaun jaana Kyun
Shivba leta raha “Sai” ka naam anth mein har din.
Koi na jane unke
janmo ki unn sathiyo ko.
Koi na jana kaise
unhone chua Yodhya o ke mann o ko.
Aao Sunaye tumko hum
Aj woh saari kahani.
Kisse kayi, itihas
nayi, jo rache unke baani.
Jaha jee uthe ek baar
phirse unke prem o ki bhasha.
Ek baar phir jaise
Ajabdeh Baisa kare kisi ki pratiksha.
Ek Baar phir kahi
Saibai maange unki prano ki raksha.
Ek Baar phir kayi ek
jija utha de apne putra ke haato talwar.
Ek baar phir chalo
Jaivanta Bai kare kisi ke rakht Tilak.
Ek baar phir chalo
jee le unn veeranganao ki katha o ko,
Phir se jeevit karde
unn kahaniyo ko.
Kyunki yeh Dharti
nahi hai sirf unn Veero ka,
Yeh hai unke jeevan
sathi o ka. Yeh hai Veerangana o ka.
Hai Humari Hai
tumhari.
Yeh Dharti hai Bharat
ki Maata o ka.
-As Felt By Suranya Sengupta
Written on 06.06.2016.
Pic edit By Charu |
Comments
Post a Comment